Aye Dil-e-Nadaan – Last Part

PicsArt_09-12-10.53.08
Aye Dil-e-Nadaan tujhe hua kya hai
Tum har baat chhupa lete ho hans ke
Wo jo dil hi dil me rote ho uska haal kya hai
Aankhon se chhalakta hai dard tumhara
Fir bhi jo ek katra na bahe raaz wo kya hai
Aye Dil-e-Nadaan tujhe hua kya hai
Kabhi kabhi dekha hai muskurate tumhe
Wo akele me us tanhaai ka raaz kya hai
Bade Maasum bante ho Ansari tum aksar
Hamne dekha hai chhedne ka andaaz kya hai
Aye Dil-e-Nadaan tujhe hua kya hai
Samajhte hi nahi mujhko tum aksar
Meri har na me na na hai to fir ha kya hai
Meri sharm o haya hai or kuch rashme
Tum to Aazad ho fir ye tumhari na kya hai
Aye Dil-e-Nadaan tujhe hua kya hai
Kabhi to jara ishare tum samjha karo
Har baat jo keh de ham fir ishq maza kya hai
Bahut kuch kehti hai nazre hamari aksar
Tum samjhe na Ansari ye masumiyat kya hai
Aye Dil-e-Nadaan tujhe hua kya hai
Mohabbaton me ruswaai bhi hai achhi
Ye jo Rashm nibhate hai sabhi to ham kya hai
Aao sab milke kabhi saza de tumko
Ansari Dulhan ho tum wo chaand kya hai
Aye Dil-e-Nadaan tujhe hua kya hai
Ye wo raat hai jisme Shez saji hai aaj unki
Ye jo sitaare ful hai to Aasmaan kya hai
Kitni khubsurat hai Dulhan e Ansari
Chaand kab ka chhupa hai to chiraag kya hai
Aye Dil-e-Nadaan tujhe hua kya hai
Ansari ki kabhi Gajal padh lena tum bhi
Tum khud ko waha paoge wo nishani kya hai
Muqammal hi nahi koi Gajal shayad
To ye meri Gajal Adhuri hai to kya hai
Aye Dil-e-Nadaan tujhe hua kya hai
Aye Dil-e-Nadaan tujhe hua kya hai
______________________________________________________________________________
© 2017 Md. Danish Ansari

4 विचार “Aye Dil-e-Nadaan – Last Part&rdquo पर;

टिप्पणी करे