Bachpan…

PicsArt_07-29-07.13.54
Suna hai aaj bhi lehro ke thapede khate ho badi shauq se
Jo hamne tumhe ek umeed ke teele pe chhoda tha wahi
Kya hoshla hai ab bhi tumme hamse mohabbat karne ki
Agar na ho to ham abhi aa kar tumhe kinare lagate hai
_____________________________________________________________________________
PicsArt_07-29-06.49.31
Aao ham fir se bachche ho jayen
Kuch sachche or kachche ho jayen
Kya fayda jawani ka batao to hame
Jab chand baato se ham judaa ho jayen
Wo bachpan hi sahi tha hamare liye
Khiddi pe dosti ki chhutti or
Middi pe ham ek ho jayen
PicsArt_07-29-06.33.31
Bachpan ke dosti ka aalam hi kuch or tha
Jo lawarish hai wo bhi apna hua karta tha
Jhagad padte ham aksar dusro se unke liye
Or jab tanha ho to khub udham machaye
PicsArt_07-29-06.42.18
Suno kya ham ek baar fir se bachpan me laut chale kya
Ek umr hui tumhare sath kuch pal bitaye huye
Ye jawani ki bhag daud zindagi hame raas na aaye
Chalo ham kahi kisi kone me apni duniya banaye
 ____________________________________________________________________________________________
© 2017 Md. Danish Ansari

5 विचार “Bachpan…&rdquo पर;

टिप्पणी करे